man
jis ke chehre pe nazar aa.e ḳhudā kā partav
jis kī āñkhoñ meñ chamaktī ho faqat pyaar kī lau
jis kī palkoñ pe nazar aa.e vafā kī shabnam
jis ke hone se na hotā ho kisī tarah kā ġham
jis ko taḳhlīq ke jauhar pe ho qudrat hāsil
jis kī dhaḌkan ho har ik lahza lahū meñ shāmil
jis kī āġhosh meñ ehsās tahaffuz kā rahe
jis kī muskān se murjhā huā dil khil uTThe
jis ke lahje se Tapaktī ho mohabbat kī miThās
jis ke alfāz se bañdh jaatī ho TuuTī huī aas
jis kī āvāz se har sub.h sahīfa khul jaa.e
jis kī lorī se har ik ḳhvāb-darīchā khul jaa.e
jis ke idrāk se paidā ho dimāġhoñ meñ shu.ūr
jis kī ta.alīm se āñkhoñ meñ utar aatā ho nuur
aise paikar ko mohabbat kā jahāñ kahte haiñ
saada ik lafz meñ ham sab use maañ kahte haiñ
jis ke chehre pe nazar aae KHuda ka partaw
jis ki aankhon mein chamakti ho faqat pyar ki lau
jis ki palkon pe nazar aae wafa ki shabnam
jis ke hone se na hota ho kisi tarah ka gham
jis ko taKHliq ke jauhar pe ho qudrat hasil
jis ki dhaDkan ho har ek lahza lahu mein shamil
jis ki aaghosh mein ehsas tahaffuz ka rahe
jis ki muskan se murjha hua dil khil uTThe
jis ke lahje se Tapakti ho mohabbat ki miThas
jis ke alfaz se bandh jati ho TuTi hui aas
jis ki aawaz se har subh sahifa khul jae
jis ki lori se har ek KHwab-daricha khul jae
jis ke idrak se paida ho dimaghon mein shuur
jis ki talim se aankhon mein utar aata ho nur
aise paikar ko mohabbat ka jahan kahte hain
sada ek lafz mein hum sab use man kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.