Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man ka hona

Zia Zameer

man ka hona

Zia Zameer

MORE BYZia Zameer

    ghuTnoñ piiḌā meñ jaag ke sone vaalī maañ

    insulin golī se ḳhush hone vaalī maañ

    silvaTī hāthoñ se kapḌoñ ko dhone vaalī maañ

    paapā ik DaañT se ghuT kar rone vaalī maañ

    bachchoñ se chhup chhup kar ronā kaisā hotā hai

    maañ ho tum aur maañ honā aisā hotā hai

    paapā intelligency tum par bhārī hai

    lekin tum ne prem gañgā ghar meñ utārī hai

    bāñdhnā ghar ko ek dhāge meñ kitnā bhārī hai

    is meñ tumhārī sarf tumhārī hoshiyārī hai

    tum ko hai ma.alūm pironā kaisā hotā hai

    maañ ho tum aur maañ honā aisā hotā hai

    dakiyānūsī kah kar biTiyā tum par hañstī hai

    tum ko nahīñ ma.alūm phabtī tum par kastī hai

    sīdhī aurat bhī upādhī tum ko Dastī hai

    aur tumhārī us ghar meñ duniyā bastī hai

    chhat dīvāreñ konā konā kaisā hotā hai

    maañ ho tum aur maañ honā aisā hotā hai

    chhoTī tanḳhvāh meñ kaise karne haiñ sab kaam

    kabhī nahīñ miltā hai tum ko mehnat in.aam

    aur nahīñ hotā hai jag meñ kabhī tumhārā naam

    dhartī-māñ ke jaise tum bhī kartī nahīñ ārām

    tum ko kyā ma.alūm ki sonā kaisā hotā hai

    maañ ho tum aur maañ honā aisā hotā hai

    ghuTnon ki piDa mein jag ke sone wali man

    insulin ki goli se KHush hone wali man

    silwaTi hathon se kapDon ko dhone wali man

    papa ki ek DanT se ghuT kar rone wali man

    bachchon se chhup chhup kar rona kaisa hota hai

    man ho tum aur man ka hona aisa hota hai

    papa ki intelligency tum par bhaari hai

    lekin tum ne prem ki ganga ghar mein utari hai

    bandhna ghar ko ek dhage mein kitna bhaari hai

    is mein tumhaari sarf tumhaari hi hoshiyari hai

    tum ko hai malum pirona kaisa hota hai

    man ho tum aur man ka hona aisa hota hai

    dakiyanusi kah kar biTiya tum par hansti hai

    tum ko nahin malum ki phabti tum par kasti hai

    sidhi aurat ki bhi upadhi tum ko Dasti hai

    aur tumhaari us ghar mein hi duniya basti hai

    chhat diwaren kona kona kaisa hota hai

    man ho tum aur man ka hona aisa hota hai

    chhoTi si tanKHwah mein kaise karne hain sab kaam

    kabhi nahin milta hai tum ko mehnat ka inam

    aur nahin hota hai jag mein kabhi tumhaara nam

    dharti-man ke jaise tum bhi karti nahin aaram

    tum ko kya malum ki sona kaisa hota hai

    man ho tum aur man ka hona aisa hota hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now