man ka rutba
chhoTā sā ik bachcha huuñ maiñ
bāteñ bhī chhoTī haiñ merī
karnā chāhūñ ek vazāhat
batlā.ūñ maiñ ek haqīqat
masjid mandir maañ hotī hai
pyaar samundar maañ hotī hai
ik sarmāya maañ hotī hai
ThanDī chhāyā maañ hotī hai
ḳhud dukh sah kar sukh detī hai
haq kahtī hai sach kahtī hai
Dhaal kī sūrat vo rahtī hai
sab kuchh ḳhud hī vo sahtī hai
maañ kā pyaar mohabbat chāhat
har ik dil ko baḳhshe rāhat
maañ to ek nirālī daulat
maañ ke qadmoñ nīche jannat
jis ne maañ kā rutba jaanā
us ne rab ko hai pahchānā
maañ kā rishta jānñe vaale
azmat ko pahchānñe vaale
ġhaur se sun leñ merā kahnā
maañ hiirā hai maañ ik gahnā
rab ik ruup hai maañ mamtā kā
maañ meva hai is duniyā kā
chhoTa sa ek bachcha hun main
baaten bhi chhoTi hain meri
karna chahun ek wazahat
batlaun main ek haqiqat
masjid mandir man hoti hai
pyar samundar man hoti hai
ek sarmaya man hoti hai
ThanDi chhaya man hoti hai
KHud dukh sah kar sukh deti hai
haq kahti hai sach kahti hai
Dhaal ki surat wo rahti hai
sab kuchh KHud hi wo sahti hai
man ka pyar mohabbat chahat
har ek dil ko baKHshe rahat
man to ek nirali daulat
man ke qadmon niche jannat
jis ne man ka rutba jaana
us ne rab ko hai pahchana
man ka rishta jaanne wale
azmat ko pahchanne wale
ghaur se sun len mera kahna
man hira hai man ek gahna
rab ek rup hai man mamta ka
man mewa hai is duniya ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.