man ke qadmon ke niche jannat hai
kyā mere qadmoñ ke nīche bhī jannat hai
pūchhtī huuñ apne bachchoñ se
mere savāl par vo mujhe hairat se dekhte haiñ
maañ ye jannat kyā hotī hai
are ye maiñ ne tum ko nahīñ batāyā
chalo suno
kahte haiñ jo maañ apne bachchoñ ko apne dil ke qarīb rakhtī hai
use jannat miltī hai
maañ ham kyā jaane tumhāre dil meñ kyā hai
ham kyā jaane jannat kyā hai
ham to ye jānte haiñ
tum hamāre dil ke qarīb hamesha ghūmtī ho
kabhī hañste hue
kabhī hamārī pareshāniyoñ par rote hue
tum ne hamesha hamāre liye
hamārī ḳhushiyoñ kī jannat banā.ī
maañ batāo
ye jannat kyā hai
kya mere qadmon ke niche bhi jannat hai
puchhti hun apne bachchon se
mere sawal par wo mujhe hairat se dekhte hain
man ye jannat kya hoti hai
are ye main ne tum ko nahin bataya
chalo suno
kahte hain jo man apne bachchon ko apne dil ke qarib rakhti hai
use jannat milti hai
man hum kya jaane tumhaare dil mein kya hai
hum kya jaane jannat kya hai
hum to ye jaante hain
tum hamare dil ke qarib hamesha ghumti ho
kabhi hanste hue
kabhi hamari pareshaniyon par rote hue
tum ne hamesha hamare liye
hamari KHushiyon ki jannat banai
man batao
ye jannat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.