man ki dua
tere dam se phir vatan vāloñ meñ paidā ho hayāt
panja-e-aġhyār se ho hind ko hāsil najāt
kaam aa jaa.e vatan kī raah meñ terā shabāb
ġhairateñ zindāniyoñ kī phir ulaT Dāleñ naqāb
tū badal Daale nizām-e-hind ke lail-o-nahār
ye ġhulām ābād ho āzād mulkoñ meñ shumār
āstīn-e-hind ho tere lahū se lāla-fām
pādshāhoñ kā laqab paane lageñ hindī ġhulām
haDDiyāñ pis kar baneñ ġhāza urūs-e-hind kā
husn phir ho jaa.e kuchh taaza urūs-e-hind kā
tere hoñToñ se ba-vaqt-e-marg ye nikle sadā
naujavānān-e-vatan aage baḌho aage zarā
tere dam se phir watan walon mein paida ho hayat
panja-e-aghyar se ho hind ko hasil najat
kaam aa jae watan ki rah mein tera shabab
ghairaten zindaniyon ki phir ulaT Dalen naqab
tu badal Dale nizam-e-hind ke lail-o-nahaar
ye ghulam aabaad ho aazad mulkon mein shumar
aastin-e-hind ho tere lahu se lala-fam
padshahon ka laqab pane lagen hindi ghulam
haDDiyan pis kar banen ghaza urus-e-hind ka
husn phir ho jae kuchh taza urus-e-hind ka
tere honTon se ba-waqt-e-marg ye nikle sada
naujawanan-e-watan aage baDho aage zara
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 83)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : Uttar Prdesh Urdu Academy,Lucknow (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.