man
terī turbat
terī āvāzoñ kā gumbad
ek vazīfa
jis se gumbad kā poshīda dar khul jaatā
bhuul gayā thā
us kī ḳhātir jaane kitne vīrāne aur kitne basere maiñ ne chhāne
par vo muqaddas paañv kī miTTī na mil sakī
jis ko is mūrat par maltā
to terī hī āvāz nikaltī
terī chāñd sī āvāzoñ par
patthar jaisā bādal
baras baras kar ghul jaatā
to chāñdnī mere bhītar kī bhasmāne vaalī aag bujhātī
merā jism bhī
terī āvāzoñ kā marqad
andar ik tūfān thā
āvāzoñ ke sho.ale chaTaḳh rahe the
bāhar
hū kā aalam
terī āvāzoñ meñ rang the
mīThe ThanDe aur rasīle
merī āvāzoñ meñ chīḳheñ
terī āvāzoñ ke rang maiñ jangal jangal DhūñD rahā thā
aañkh uThā kar dekhā
to terī hī āvāzoñ ke rang haiñ
jo ākāsh pe bikhre paḌe haiñ
teri turbat
teri aawazon ka gumbad
ek wazifa
jis se gumbad ka poshida dar khul jata
bhul gaya tha
us ki KHatir jaane kitne virane aur kitne basere main ne chhane
par wo muqaddas panw ki miTTi na mil saki
jis ko is murat par malta
to teri hi aawaz nikalti
teri chand si aawazon par
patthar jaisa baadal
baras baras kar ghul jata
to chandni mere bhitar ki bhasmane wali aag bujhati
mera jism bhi
teri aawazon ka marqad
andar ek tufan tha
aawazon ke shoale chaTaKH rahe the
bahar
hu ka aalam
teri aawazon mein rang the
miThe ThanDe aur rasile
meri aawazon mein chiKHen
teri aawazon ke rang main jangal jangal DhunD raha tha
aankh uTha kar dekha
to teri hi aawazon ke rang hain
jo aakash pe bikhre paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.