man
kis ne in āhinī-darvāzoñ ke paT khol diye
kis ne ḳhūñ-ḳhvār-darindoñ ko yahāñ chhoḌ diyā
kis ne āñchal pe mire Daal diye añgāre
Thiik se kaTne bhī na paayā thā tauq-e-gardan
abhī to sadiyoñ kā pāmāl thā merā ḳhirman
us pe in vahshī-luTeroñ ne siyahkāroñ ne
mere armānoñ ko tārāj kyā luuT liyā
mere māsūmoñ ko be-ḳhāna o barbād kiyā
merī bahuoñ se havas-ḳhānoñ ko ābād kiyā
jal gayā merā chaman luT gayā sab merī bahār
mere barbat meñ koī taar nahīñ ab sābit
merī chīḳhoñ meñ koī dard nahīñ ab baaqī
mere pyāro mirī chhātī se lipaTne vaalo
aag vo dil meñ lagī hai ki maiñ hī jāntī huuñ
yuuñ mirī kokh jalī hai ki maiñ hī jāntī huuñ
mere bachcho mirī nāmūs ke pahredāro
dekho nezoñ pe tumhāre haiñ ye kis kī lāsheñ
tum ne ḳhud luuT liyā apnī hī bahnoñ kā suhāg
maañg meñ jhoñk dī sindūr kī jagah tum ne aag
sharm se ab to huī jaatī hai gardan mirī ḳham
paanī paanī huā jaatā hai musavvir kā qalam
ye tirā bait-e-muqaddas tirī rif.at kā mazār
kis kī manhūs nigāhoñ kā banā aaj shikār
kyā hue mere vo mansūbe vo ḳhvāb-e-fardā
jal gayā merā chaman luT ga.ī sab merī bahār
mere barbat meñ koī taar nahīñ ab sābit
merī chīḳhoñ meñ koī dard nahīñ ab baaqī
kis ne in aahini-darwazon ke paT khol diye
kis ne KHun-KHwar-darindon ko yahan chhoD diya
kis ne aanchal pe mere Dal diye angare
Thik se kaTne bhi na paya tha tauq-e-gardan
abhi to sadiyon ka pamal tha mera KHirman
us pe in wahshi-luTeron ne siyahkaron ne
mere armanon ko taraj kya luT liya
mere masumon ko be-KHana o barbaad kiya
meri bahuon se hawas-KHanon ko aabaad kiya
jal gaya mera chaman luT gaya sab meri bahaar
mere barbat mein koi tar nahin ab sabit
meri chiKHon mein koi dard nahin ab baqi
mere pyaro meri chhati se lipaTne walo
aag wo dil mein lagi hai ki main hi jaanti hun
yun meri kokh jali hai ki main hi jaanti hun
mere bachcho meri namus ke pahredaro
dekho nezon pe tumhaare hain ye kis ki lashen
tum ne KHud luT liya apni hi bahnon ka suhag
mang mein jhonk di sindur ki jagah tum ne aag
sharm se ab to hui jati hai gardan meri KHam
pani pani hua jata hai musawwir ka qalam
ye tera bait-e-muqaddas teri rifat ka mazar
kis ki manhus nigahon ka bana aaj shikar
kya hue mere wo mansube wo KHwab-e-farda
jal gaya mera chaman luT gai sab meri bahaar
mere barbat mein koi tar nahin ab sabit
meri chiKHon mein koi dard nahin ab baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.