Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manawiyyat

Zeeshaan sajid

manawiyyat

Zeeshaan sajid

MORE BYZeeshaan sajid

    sabhī banāvaT dimāġh hai

    kashish tavāzun vajūd lahreñ

    zehn mahfil meñ ārzūoñ ik samāñ hai

    yahī jahāñ hai

    shu.ūr sat.h par umaDtā havā gumāñ hai

    jo ham ne sochā jo ham ne dekhā hai apne sar par vo āsmāñ hai

    jo chaar jānib se añkh meñ aks Dāltā hai vahī jahāñ hai

    kashish tavāzun vajūd lahreñ

    ye kā.enātoñ īñTeñ haiñ

    zehn se bāhar ye sab nahīñ haiñ

    zehn se bāhar hai behad-o-be-kanār ma.adūmiyat manzar

    kashish tavāzun vajūd lahreñ zehn ke safhāt se miTeñ to

    gañvā deñ apnī ma.anaviyyat

    sabhi banawaT dimagh ki hai

    kashish tawazun wajud lahren

    zehn ki mahfil mein aarzuon ka ek saman hai

    yahi jahan hai

    shuur ki sath par umaDta hawa guman hai

    jo hum ne socha jo hum ne dekha hai apne sar par wo aasman hai

    jo chaar jaanib se ankh mein aks Dalta hai wahi jahan hai

    kashish tawazun wajud lahren

    ye kaenaton ki inTen hain

    zehn se bahar ye sab nahin hain

    zehn se bahar hai behad-o-be-kanar madumiyat ka manzar

    kashish tawazun wajud lahren zehn ke safhat se miTen to

    ganwa hi den apni manawiyyat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now