mas-KHor
ham apne shikasta jismoñ aur apāhij rūhoñ ke saath
zindagī basar kar rahe the
is apāhij-pan ko duur karne ke liye
ek dūsre ke jismoñ aur nazmoñ meñ panāh-guzīñ hue
to
taak meñ baiThe vahshatoñ ke darindoñ ne
hamāre jismoñ ko nigal liyā
aur hameñ insān se gidh banā diyā
hameñ na ḳhatm hone vaalī bhuuk ne aa liyā
ab ham apne saath saath
apnī nazmoñ kī maas boTiyāñ bhī nochte haiñ
hum apne shikasta jismon aur apahij ruhon ke sath
zindagi basar kar rahe the
is apahij-pan ko dur karne ke liye
ek dusre ke jismon aur nazmon mein panah-guzin hue
to
tak mein baiThe wahshaton ke darindon ne
hamare jismon ko nigal liya
aur hamein insan se gidh bana diya
hamein na KHatm hone wali bhuk ne aa liya
ab hum apne sath sath
apni nazmon ki mas boTiyan bhi nochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.