masum bachcha
ik pyārā ma.asūm sā bachcha
man kā sachchā aql kā kachchā
vo farmāñ-bardār bahut thā
nek aur ḳhush-guftār bahut thā
āñkhoñ meñ ik ḳhvāb sajā.e
us ne kuchh paise the bachā.e
apnī dhun meñ kho.e-kho.e
saare paise khet meñ bo.e
mājrā jab ye baap ne dekhā
apne beTe se ye pūchhā
khet meñ kyoñ paisoñ ko chhupāyā
beTe ne phir sabab batāyā
daadā aksar ye kahte the
jo bo.oge vo kāTo.ge
ek pyara masum sa bachcha
man ka sachcha aql ka kachcha
wo farman-bardar bahut tha
nek aur KHush-guftar bahut tha
aankhon mein ek KHwab sajae
us ne kuchh paise the bachae
apni dhun mein khoe-khoe
sare paise khet mein boe
majra jab ye bap ne dekha
apne beTe se ye puchha
khet mein kyon paison ko chhupaya
beTe ne phir sabab bataya
dada aksar ye kahte the
jo booge wo kaToge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.