Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masum mashkize

Atif tauqeer

masum mashkize

Atif tauqeer

MORE BYAtif tauqeer

    Interesting Fact

    (Dedicated to the Pathan child who was selling water on the road under Natha Khan Bridge in Karachi and died in a car accident)

    pair meñ taptī dhuup pahan kar

    sar par jaltā sūraj Tāñke

    piiTh ko signal se chipkā.e

    paanī bechne vaale saa.e

    jin ke haath hamesha se bas paanī jante rahte haiñ

    aur āñkhoñ se bas do duā.eñ uchhle jaa.eñ

    jaltī dhuup aur battī surḳh

    ek haath meñ jag aTkā.e

    aur gilās meñ uñgliyāñ bhar kar apnā dūsrā haath uThā.e

    ek ḳhvāb meñ kab se zinda

    jaldī se ho signal surḳh

    to gāḌiyāñ apnā saañs biThāne saḌak par Thahreñ

    aur pasīne paanī māñgeñ

    ham har ik gaaḌī ko chhū leñ

    Thahrī khiḌkiyāñ haath se uchkeñ

    jalte māthe bech ke ham bhī aaTh aane pyaas bujhā.eñ

    jebeñ sikkoñ se bhar jaa.eñ

    lekin ḳhvāb kahāñ samjheñge

    umr signal surḳh huā

    to gaaḌī duur nikal jā.egī

    pair mein tapti dhup pahan kar

    sar par jalta suraj Tanke

    piTh ko signal se chipkae

    pani bechne wale sae

    jin ke hath hamesha se bas pani jante rahte hain

    aur aankhon se bas do hi duaen uchhle jaen

    jalti dhup aur batti surKH

    ek hath mein jag aTkae

    aur gilas mein ungliyan bhar kar apna dusra hath uThae

    ek hi KHwab mein kab se zinda

    jaldi se ho signal surKH

    to gaDiyan apna sans biThane saDak par Thahren

    aur pasine pani mangen

    hum har ek gaDi ko chhu len

    Thahri khiDkiyan hath se uchken

    jalte mathe bech ke hum bhi aaTh aane ki pyas bujhaen

    jeben sikkon se bhar jaen

    lekin KHwab kahan samjhenge

    umr ka signal surKH hua

    to gaDi dur nikal jaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now