masum si guDiya
vo ik ma.asūm sī nannhī sī guḌiyā
jise haivāniyat ne noch Daalā
darindo sharm tum ko kyuuñ na aa.ī
tumhāre ghar bhī hogī maañ kī jaa.ī
use sharmindagī mahsūs hogī
darinda jis kā tum jaisā hai bhaa.ī
tumhāre janm par dhikkār nīcho
paḌe tum par ḳhudā kī maar nīcho
jo tum ne vahshī-pan kā khel khelā
kisī ma.asūm ne ye kaise jhelā
gadhoñ kī tarah us ko noch Daalā
havas ne kar liyā muñh apnā kaalā
banā kar maut kā us ko nivāla
koī mazlūm ko na yuuñ satā.e
kisī par bhī na aisā vaqt aa.e
huā hai zulm vo ma.asūmiyat par
sune to aatmā bhī kaañp jaa.e
hamārī bachchiyoñ ko to ḳhudā hī
havas ke in darindoñ se bachā.e
wo ek masum si nannhi si guDiya
jise haiwaniyat ne noch Dala
darindo sharm tum ko kyun na aai
tumhaare ghar bhi hogi man ki jai
use sharmindagi mahsus hogi
darinda jis ka tum jaisa hai bhai
tumhaare janm par dhikkar nicho
paDe tum par KHuda ki mar nicho
jo tum ne wahshi-pan ka khel khela
kisi masum ne ye kaise jhela
gadhon ki tarah us ko noch Dala
hawas ne kar liya munh apna kala
bana kar maut ka us ko niwala
koi mazlum ko na yun satae
kisi par bhi na aisa waqt aae
hua hai zulm wo masumiyat par
sune to aatma bhi kanp jae
hamari bachchiyon ko to KHuda hi
hawas ke in darindon se bachae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.