mathe ka jhumar
shahnā.ī bajātā huā ik nanhā sā machchhar
pahuñchā kisī maidān meñ naale se nikal kar
maidān meñ kuchh der bhaTaktā rahā machchhar
kuchh kaam nahīñ thā to maTaktā rahā machchhar
mausūf ne ik bail ko baiThā huā paayā
tab dil meñ savārī kā zarā shauq samāyā
ārām se vo baiTh gayā siiñg ke uupar
phir apne ḳhayālāt meñ gum ho gayā machchhar
do ghanTe guzar jaane pe mausūf ne sochā
is bail ko be-jurm-o-ḳhatā maiñ ne dabochā
ye bail pichak jā.egā sochā nahīñ maiñ ne
ab kuchlā gayā piisā gayā mere badan se
ye dabtā rahā surma banā TuuTī qayāmat
lekin koī shikva na kiyā vaah sharāfat
shahnai bajata hua ek nanha sa machchhar
pahuncha kisi maidan mein nale se nikal kar
maidan mein kuchh der bhaTakta raha machchhar
kuchh kaam nahin tha to maTakta raha machchhar
mausuf ne ek bail ko baiTha hua paya
tab dil mein sawari ka zara shauq samaya
aaram se wo baiTh gaya sing ke upar
phir apne KHayalat mein gum ho gaya machchhar
do ghanTe guzar jaane pe mausuf ne socha
is bail ko be-jurm-o-KHata main ne dabocha
ye bail pichak jaega socha nahin main ne
ab kuchla gaya pisa gaya mere badan se
ye dabta raha surma bana TuTi qayamat
lekin koi shikwa na kiya wah sharafat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.