maTi tere rang hain gahre
maiñ raakh zada muskurāhaT jantī huuñ
khiñchtī haiñ lakīreñ
aur nuqūsh bigaḌte chale jaate haiñ
tumhārī muskurāhaT kī tarāvat kyoñ nahīñ jaatī
ye to aur hī rañg kā gaarā hai
kis ne gūñdhī hai merī miTTī
rañg hī nahīñ badaltā
maiñ apne rañg meñ
tumhārā rañg milātī huuñ
na maiñ rahtī huuñ
aur na tum
aave kā ḳhālī-pan qahqahe lagāne lagtā hai
Dhale Dhalā.e
tarshe tarshā.e
tumheñ pahchānñā mushkil to nahīñ
magar merī poreñ
tumheñ pahchānñe se qāsir haiñ
tumhārā vajūd kis miTTī se banā hai
gaare kī khan-khanāhaT hī nahīñ jaatī
main rakh zada muskurahaT janti hun
khinchti hain lakiren
aur nuqush bigaDte chale jate hain
tumhaari muskurahaT ki tarawat kyon nahin jati
ye to aur hi rang ka gara hai
kis ne gundhi hai meri miTTi
rang hi nahin badalta
main apne rang mein
tumhaara rang milati hun
na main rahti hun
aur na tum
aawe ka KHali-pan qahqahe lagane lagta hai
Dhale Dhalae
tarshe tarshae
tumhein pahchanna mushkil to nahin
magar meri poren
tumhein pahchanne se qasir hain
tumhaara wajud kis miTTi se bana hai
gare ki khan-khanahaT hi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.