mawara
kisī tasvīr meñ rañgoñ se ubhāre na ga.e
tere chehre ke dil-āvez gulābī haale
mere alfāz kā tarshā huā sañg-e-marmar
kaun se but meñ tire jism-e-javāñ ko Dhāle
terī nau-ḳhez javānī ke kuñvāre motī
jagmagāte rahe vijdān ke ā.īne meñ
ban ga.e rashk-e-chaman lāla-o-nargis kī tarah
daaġh aur zaḳhm the jitne bhī mire siine meñ
terī ḳhushbū se mahakne lagā gulshan gulshan
Dāliyāñ phūloñ kī jhuk kar tujhe kahtī haiñ salām
gardish-e-vaqt rukī jaatī hai tauba tauba
maiñ ne dekhā nahīñ tujh sā koī āhista-ḳhirām
ye tirā paikar-e-sad-rañg ye āhañg-e-jamāl
dekh kar tujh ko ḳhayāl aate haiñ kaise kaise
terā chehra hai ki taḳhlīq-e-mah-o-mahr kā raaz
terī āñkheñ haiñ ki asrār-e-do-ālam jaise
terī sūrat tirī ma.asūm o muqaddas sūrat
merī har soch ke ā.īne meñ lahrātī hai
haa.e vo sher ki mauzūñ na huā jo tā-umr
tū usī sher kī tafsīr banī jaatī hai
kisi taswir mein rangon se ubhaare na gae
tere chehre ke dil-awez gulabi haale
mere alfaz ka tarsha hua sang-e-marmar
kaun se but mein tere jism-e-jawan ko Dhaale
teri nau-KHez jawani ke kunware moti
jagmagate rahe wijdan ke aaine mein
ban gae rashk-e-chaman lala-o-nargis ki tarah
dagh aur zaKHm the jitne bhi mere sine mein
teri KHushbu se mahakne laga gulshan gulshan
Daliyan phulon ki jhuk kar tujhe kahti hain salam
gardish-e-waqt ruki jati hai tauba tauba
main ne dekha nahin tujh sa koi aahista-KHiram
ye tera paikar-e-sad-rang ye aahang-e-jamal
dekh kar tujh ko KHayal aate hain kaise kaise
tera chehra hai ki taKHliq-e-mah-o-mahr ka raaz
teri aankhen hain ki asrar-e-do-alam jaise
teri surat teri masum o muqaddas surat
meri har soch ke aaine mein lahraati hai
hae wo sher ki mauzun na hua jo ta-umr
tu usi sher ki tafsir bani jati hai
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 15)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.