maya ka KHwab
maayā ne sapne meñ dekhā
us kī kokh meñ satrangī dariyā chaḌhtā thā
us ke ujle paanī meñ
pūran-māshī kā saayā thā
chāñd badan ke andar utrā
le kar ik dev-mālā
maayā ke sundar chehre par
kin bhedoñ kā haalā
sun rī maayā
terā sapnā sachchā hogā
terī god meñ ik din chāñd sā beTā hogā
vo jag kā an-dātā hogā
lekin us ke apne tan par
gerua cholā
aur hāthoñ meñ kaasa hogā
dariyā kī siipī ke andar
la.al chhupā anmol
maayā raanī samajh na paa.e
un shabdoñ ke bol
maya ne sapne mein dekha
us ki kokh mein satrangi dariya chaDhta tha
us ke ujle pani mein
puran-mashi ka saya tha
chand badan ke andar utra
le kar ek dew-mala
maya ke sundar chehre par
kin bhedon ka haala
sun ri maya
tera sapna sachcha hoga
teri god mein ek din chand sa beTa hoga
wo jag ka an-data hoga
lekin us ke apne tan par
gerua chola
aur hathon mein kasa hoga
dariya ki sipi ke andar
lal chhupa anmol
maya rani samajh na pae
un shabdon ke bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.