mayus to hun wade se tere
māyūs to huuñ va.ade se tire
kuchh aas nahīñ kuchh aas bhī hai
maiñ apne ḳhayāloñ ke sadqe
tū paas nahīñ aur paas bhī hai
ham ne to ḳhushī māñgī thī magar
jo tū ne diyā achchhā hī diyā
jis ġham kā ta.alluq ho tujh se
vo raas nahīñ aur raas bhī hai
palkoñ pe larazte ashkoñ meñ
tasvīr jhalaktī hai terī
dīdār kī pyāsī āñkhoñ meñ
ab pyaas nahīñ aur pyaas bhī hai
mayus to hun wade se tere
kuchh aas nahin kuchh aas bhi hai
main apne KHayalon ke sadqe
tu pas nahin aur pas bhi hai
hum ne to KHushi mangi thi magar
jo tu ne diya achchha hi diya
jis gham ka talluq ho tujh se
wo ras nahin aur ras bhi hai
palkon pe larazte ashkon mein
taswir jhalakti hai teri
didar ki pyasi aankhon mein
ab pyas nahin aur pyas bhi hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 444)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.