mazarat
mujhe muaaf karnā
havāoñ ke pur-soz chehro
ki maiñ ne tumhāre falak-dar-falak tevaroñ kā sarāb bhī paayā nahīñ hai
mujhe muaaf karnā sitāroñ ke saayo
tumhārī siyāhī ke bosīda nuqtoñ meñ Dhalne se ab tak maiñ qāsir rahā huuñ
ġhayāboñ kī nazroñ se tanhā bahā huuñ
mujhe muaaf karnā mohabbat ke hāmil sarābo
ki bāñhoñ meñ aa kar basā huuñ tumhārī
samundar kī ujḌī sadāoñ kī sūrat
kise DhūñDtī hai mirī be-zabānī
mujhe muaaf karnā abhī tak maiñ ye jaan paayā nahīñ huuñ
mujhe muaaf karnā abad ke salāsil meñ jakḌī huī saarī chīzo
ki maiñ vaqt kī buuñd meñ pyaas kī tarah boyā gayā huuñ
zamānoñ kī āñkhoñ se royā gayā huuñ
maiñ manzar kisī lamha māvarā kā
maiñ ham-asr huuñ titliyoñ ke paroñ kā
havā kā
ḳhudā
mujhe muaf karna
hawaon ke pur-soz chehro
ki main ne tumhaare falak-dar-falak tewaron ka sarab bhi paya nahin hai
mujhe muaf karna sitaron ke sayo
tumhaari siyahi ke bosida nuqton mein Dhalne se ab tak main qasir raha hun
ghayabon ki nazron se tanha baha hun
mujhe muaf karna mohabbat ke hamil sarabo
ki banhon mein aa kar basa hun tumhaari
samundar ki ujDi sadaon ki surat
kise DhunDti hai meri be-zabani
mujhe muaf karna abhi tak main ye jaan paya nahin hun
mujhe muaf karna abad ke salasil mein jakDi hui sari chizo
ki main waqt ki bund mein pyas ki tarah boya gaya hun
zamanon ki aankhon se roya gaya hun
main manzar kisi lamha mawara ka
main ham-asr hun titliyon ke paron ka
hawa ka
KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.