mazi aur haal
maazī
do bachche apne kamre se
tāroñ vaale kapḌe pahne
mere kamre meñ aate haiñ
mujh se lipaT kar so jaate haiñ
aur merī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ
niiñd kī ThanDak bhar jaatī hai
haal
ghar kī biivī
apnī aayā se kahtī hai
raat ga.e mire donoñ bachche
kyuuñ mere kamre meñ aate haiñ?
mujh se lipaT kar so jaate haiñ
tum āḳhir kaahe ke liye ho?
merī ḳhvāb-ālud āñkhoñ se
saarī niiñd bikhar jaatī hai
mazi
do bachche apne kamre se
taron wale kapDe pahne
mere kamre mein aate hain
mujh se lipaT kar so jate hain
aur meri be-KHwab aankhon mein
nind ki ThanDak bhar jati hai
haal
ghar ki biwi
apni aaya se kahti hai
raat gae mere donon bachche
kyun mere kamre mein aate hain?
mujh se lipaT kar so jate hain
tum aaKHir kahe ke liye ho?
meri KHwab-alud aankhon se
sari nind bikhar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.