mazi
bahut ḳhūb-sūrat
ḳhushnumā
hañste muskurāte
gaate gungunāte
vo dhaḌakte lamhe
jiite jāgte lamhe
yak-ba-yak
ek din
ho ga.e rū-ba-rū
purānī kitāb ke
panne meñ dabe hue
lekin ye kyā
taaza gulāboñ se bhī ziyāda
mahak rahe the ye
in sūkhe hue phūloñ se
aa rahī thī
guzre hue paloñ kī
taaza ḳhushbū
bahut KHub-surat
KHushnuma
hanste muskuraate
gate gungunate
wo dhaDakte lamhe
jite jagte lamhe
yak-ba-yak
ek din
ho gae ru-ba-ru
purani kitab ke
panne mein dabe hue
lekin ye kya
taza gulabon se bhi ziyaada
mahak rahe the ye
in sukhe hue phulon se
aa rahi thi
guzre hue palon ki
taza KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.