mazi se hamein kya lena
dil kā nagar tanhā.ī-zada hai jis meñ
faqat maiñ jaag rahā huuñ
vaqt ke sab lamhoñ kī kahānī aur saarī rūdād
ek yahī bas ujḌī duniyā
ek yahī bas dil
sadiyoñ purāne vaqt kī yādeñ haiñ anmol-ratan
har bastī thī amn kī bastī har qarye meñ sukh
sāñsoñ meñ ḳhushbueñ thiiñ
rūhoñ meñ kaif surūr
ik-dūje ke sukh kā sahārā
sonā ugaltī dhartī pe baste log
pavitra log purāne
vaqt kī yādeñ raushan haiñ chamkīlī haiñ
haal se un kā rabt nahīñ hai
aaj hamārī har bastī meñ amn-o-sukūñ kī dhuum machī hai
kitnī nangī tīkhī chaTāneñ raste rok rahī haiñ
kitne dahke gahre gulḳhan
jin kī tahoñ meñ sabz ghane peḌoñ ke patte paḌe hue haiñ
shādābī ke dushman raushan maskan
jin kī chhatoñ par laal zamurrad aur hiire ke haar saje haiñ
amn se aarī tanhā.ī kī kaalī maujeñ
har manzar par chhā.ī haiñ
maiñ bhī tanhā tum bhī tanhā tanhā saare log
yahāñ sannāTe haiñ ki bol rahe haiñ
tum jo kabhī vīrān galī meñ
apne makān ke khulte darīchoñ se jhāñkte ho to
tanhā.ī ke sāgar kā hī shor sunā.ī detā hai
dil kā nagar tanhā.ī-zada hai
jis meñ tum hī jaag rahe ho
jis meñ sab hī jaag rahe haiñ haiñ
jis meñ faqat maiñ jaag rahā huuñ
dil ka nagar tanhai-zada hai jis mein
faqat main jag raha hun
waqt ke sab lamhon ki kahani aur sari rudad
ek yahi bas ujDi duniya
ek yahi bas dil
sadiyon purane waqt ki yaaden hain anmol-ratan
har basti thi amn ki basti har qarye mein sukh
sanson mein KHushbuen thin
ruhon mein kaif surur
ik-duje ke sukh ka sahaara
sona ugalti dharti pe baste log
pawitra log purane
waqt ki yaaden raushan hain chamkili hain
haal se un ka rabt nahin hai
aaj hamari har basti mein amn-o-sukun ki dhum machi hai
kitni nangi tikhi chaTanen raste rok rahi hain
kitne dahke gahre gulKHan
jin ki tahon mein sabz ghane peDon ke patte paDe hue hain
shadabi ke dushman raushan maskan
jin ki chhaton par lal zamurrad aur hire ke haar saje hain
amn se aari tanhai ki kali maujen
har manzar par chhai hain
main bhi tanha tum bhi tanha tanha sare log
yahan sannaTe hain ki bol rahe hain
tum jo kabhi viran gali mein
apne makan ke khulte darichon se jhankte ho to
tanhai ke sagar ka hi shor sunai deta hai
dil ka nagar tanhai-zada hai
jis mein tum hi jag rahe ho
jis mein sab hi jag rahe hain hain
jis mein faqat main jag raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.