mazi
zindagī ke husn kā paiġhām thā paiġhām-e-shauq
dīda-e-hairāñ meñ raqsāñ thī mohabbat kī bahār
is hujūm-e-kashmakash se be-ḳhabar thī bazm-e-zauq
mujh ko thā sab nau-ba-nau rangīniyoñ par iḳhtiyār
jab sahar ke phūTte hī shaam kā thā intizār
ik hujūm-e-shauq se thā jab hamārā dil-gudāz
un dinoñ kab zindagī kī talḳhiyāñ thiiñ āshkār
kaif-zā thā do diloñ kī dhaḌkanoñ kā soz-o-sāz
vo bahār-e-dilnashīñ ḳhauf-e-ḳhizāñ se be-niyāz
chāñdnī shab sehn-e-gul jāñ-ḳhez naġhma-zāiyāñ
mad-bhare ḳhush-kun manāzir kaif-parvar dil-navāz
zindagī thī ek gaatī muskurātī dāstāñ
ranj-o-rāhat kī kashākash par hai kis ko iḳhtiyār
be-niyāz-e-īn-o-āñ hai garm-o-sard-e-rozgār
zindagi ke husn ka paigham tha paigham-e-shauq
dida-e-hairan mein raqsan thi mohabbat ki bahaar
is hujum-e-kashmakash se be-KHabar thi bazm-e-zauq
mujh ko tha sab nau-ba-nau ranginiyon par iKHtiyar
jab sahar ke phuTte hi sham ka tha intizar
ek hujum-e-shauq se tha jab hamara dil-gudaz
un dinon kab zindagi ki talKHiyan thin aashkar
kaif-za tha do dilon ki dhaDkanon ka soz-o-saz
wo bahaar-e-dilnashin KHauf-e-KHizan se be-niyaz
chandni shab sehn-e-gul jaan-KHez naghma-zaiyan
mad-bhare KHush-kun manazir kaif-parwar dil-nawaz
zindagi thi ek gati muskuraati dastan
ranj-o-rahat ki kashakash par hai kis ko iKHtiyar
be-niyaz-e-in-o-an hai garm-o-sard-e-rozgar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.