mazur bachche
bachche haiñ ham la.al-o-gohar
kyā haiñ hamārī azmateñ
ham bā-salīqa bā-hunar
ma.azūr ham ko mat kaho
raushan haiñ mānind-e-qamar
majbūr ham ko mat kaho
har dam bulandī par nazar
ḳhurshīd ham mahtāb ham
ma.azūr ham ko mat kaho
shā.ista-e-ādāb ham
majbūr ham ko mat kaho
ḳhidmat kā raushan baab ham
saada zabāñ shīrīñ-suḳhan
andar se haiñ shādāb ham
ham haiñ umīdoñ kī kiran
ma.azūr ham ko mat kaho
ham phuul ham jān-e-chaman
majbūr ham ko mat kaho
ham zindagī kā bāñkpan
ham āsmāñ par chhā.eñge
ma.azūr ham ko mat kaho
ham raushnī phailā.eñge
majbūr ham ko mat kaho
aur kahkashāñ ban jā.eñge
jis din hamārī mehnateñ
duniyā meñ izzat pā.eñgī
us din khuleñgī qismateñ
ma.azūr ham ko mat kaho
deñgī jahāñ ko ne.amateñ
majbūr ham ko mat kaho
bachche hain hum lal-o-gohar
kya hain hamari azmaten
hum ba-saliqa ba-hunar
mazur hum ko mat kaho
raushan hain manind-e-qamar
majbur hum ko mat kaho
har dam bulandi par nazar
KHurshid hum mahtab hum
mazur hum ko mat kaho
shaista-e-adab hum
majbur hum ko mat kaho
KHidmat ka raushan bab hum
sada zaban shirin-suKHan
andar se hain shadab hum
hum hain umidon ki kiran
mazur hum ko mat kaho
hum phul hum jaan-e-chaman
majbur hum ko mat kaho
hum zindagi ka bankpan
hum aasman par chhaenge
mazur hum ko mat kaho
hum raushni phailaenge
majbur hum ko mat kaho
aur kahkashan ban jaenge
jis din hamari mehnaten
duniya mein izzat paengi
us din khulengi qismaten
mazur hum ko mat kaho
dengi jahan ko neamaten
majbur hum ko mat kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.