macha kohram kyun hai
Interesting Fact
In memory of Irfan Siddiqui
machā kohrām kyuuñ hai
ghar badalne par
abhī bhī halke kaale
shīshe vaalī
aañkh par ainak lagā kar
halqa-e-yārāñ meñ vo akasr
chahal-qadmī ko aatā hai
sunātā hai ġhazal apnī
kabhī tāroñ kī jhurmuT meñ
kabhī raste meñ shabnam ke
kabhī ḳhushbū lapeTe jism par
dil-kash fazāoñ meñ
kabhī be-had chamaktī dhuup ke
pīpal kī chhāñv meñ
zarā sā
chashm-e-bātin ko
munavvar kar ke to dekho
liye dariyā ko hāthoñ meñ
bahut shādāñ
bahut farhāñ
nazar aatā hai masnad par
ġhazal kī vo
macha kohram kyun hai
ghar badalne par
abhi bhi halke kale
shishe wali
aankh par ainak laga kar
halqa-e-yaran mein wo akasr
chahal-qadmi ko aata hai
sunata hai ghazal apni
kabhi taron ki jhurmuT mein
kabhi raste mein shabnam ke
kabhi KHushbu lapeTe jism par
dil-kash fazaon mein
kabhi be-had chamakti dhup ke
pipal ki chhanw mein
zara sa
chashm-e-baatin ko
munawwar kar ke to dekho
liye dariya ko hathon mein
bahut shadan
bahut farhan
nazar aata hai masnad par
ghazal ki wo
- Book : Hawa ke shamiane mein (Pg. 99)
- Author : Jafar Sahni
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.