machine
machine chal rahī haiñ
niile piile laal lohe kī mashīnoñ meñ
hazāroñ āhanī purze
muqarrar harkatoñ ke dā.eroñ meñ
chalte phirte haiñ
sahar se shaam tak pur-shor āvāzeñ ugalte haiñ
baḌā chhoTā har ik purza
kasā hai kīl-panchoñ se
hazāroñ ghūmte purzoñ ko apne peT meñ Daale
mashīneñ sochtī haiñ
chīḳhtī haiñ
jañg kartī haiñ
mashīneñ chal rahī haiñ
machine chal rahi hain
nile pile lal lohe ki mashinon mein
hazaron aahani purze
muqarrar harkaton ke daeron mein
chalte phirte hain
sahar se sham tak pur-shor aawazen ugalte hain
baDa chhoTa har ek purza
kasa hai kil-panchon se
hazaron ghumte purzon ko apne peT mein Dale
mashinen sochti hain
chiKHti hain
jang karti hain
mashinen chal rahi hain
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 193)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.