madam
zulf kī chhāñv meñ aariz kī tab-o-tāb liye
lab pe afsūñ liye āñkhoñ meñ mai-e-nāb liye
har nafas rau meñ liye sorish-e-tuġhyān-e-nihāñ
har nazar shauq kā afsāna-e-b-tāb liye
sehr o ejaaz liye jumbish-e-mizhgān-e-darāz
ḳhanda-e-shoKh jamāl-e-dur-e-ḳhush-āb liye
zau-fagan rū-e-hasīñ par shab-e-mahtāb-e-shabāb
chashm-e-maḳhmūr nashāt-e-shab-e-mahtāb liye
nashsha-e-nāz javānī meñ sharābor adā
jism zauq-e-guhar atlas-o-kamḳhvāb liye
zulf-e-shab-rañg liye sandal o uud o ambar
ḳham-e-abrū-e-hasīñ dair kī mehrāb liye
lab-e-gul-rañg-o-hasīñ jism gudāz-o-sīmīñ
shoḳhī-e-barq liye larzish-e-sīmāb liye
ek sayyād-e-ḳhush-andām svād-e-mashriq
zulf-e-bañgāl liye tal.at-e-punjab liye
nuzhat o naaz kā ik paikar-e-shādāb-o-hasīñ
nik.hat-o-nūr kā umDā huā sailāb liye
merī vāraftagī-e-shauq musallam lekin
kis kī āñkheñ haiñ zuleḳhā kā hasīñ ḳhvāb liye
zulf ki chhanw mein aariz ki tab-o-tab liye
lab pe afsun liye aankhon mein mai-e-nab liye
har nafas rau mein liye sorish-e-tughyan-e-nihan
har nazar shauq ka afsana-e-b-tab liye
sehr o ejaz liye jumbish-e-mizhgan-e-daraaz
KHanda-e-shoKh jamal-e-dur-e-KHush-ab liye
zau-fagan ru-e-hasin par shab-e-mahtab-e-shabab
chashm-e-maKHmur nashat-e-shab-e-mahtab liye
nashsha-e-naz jawani mein sharabor ada
jism zauq-e-guhar atlas-o-kamKHwab liye
zulf-e-shab-rang liye sandal o ud o ambar
KHam-e-abru-e-hasin dair ki mehrab liye
lab-e-gul-rang-o-hasin jism gudaz-o-simin
shoKHi-e-barq liye larzish-e-simab liye
ek sayyaad-e-KHush-andam swad-e-mashriq
zulf-e-bangal liye talat-e-punjab liye
nuzhat o naz ka ek paikar-e-shadab-o-hasin
nikhat-o-nur ka umDa hua sailab liye
meri waraftagi-e-shauq musallam lekin
kis ki aankhen hain zuleKHa ka hasin KHwab liye
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.