tumheñ kuchh ḳhabar hai
ki jab maiñ nahīñ thā to tab maiñ kahāñ thā
maiñ ik maas ban kar kisī saḳht ghere meñ jakḌā huā thā
maiñ ḳhūnīñ añdheroñ meñ luthḌā huā thā
nahīñ jāntā thā
ki maiñ huuñ kahāñ huuñ
nahīñ jāntā thā
ki tum ho kahāñ ho
tumheñ kuchh ḳhabar hai
koī shakl le kar maiñ janmā thā jis din
maiñ janmā nahīñ thā
khulī aañkh se kitne chehre dikhe the
khulī habs ke kāran vo chehra nahīñ thā
tumheñ kuchh ḳhabar hai
maiñ jis lamhe janmā gayā is jahāñ meñ
azaañ mere kānoñ meñ Daalī ga.ī thī
na jaane mujhe kyuuñ sunā.ī na dī thī
magar ek gambhīr DāḌhī chubhī thī
maiñ rone lagā thā
mujhe vo azaañ par sunā.ī na dī thī
tumheñ kuchh ḳhabar hai
ki jis lamhe janmī ga.iiñ tum jahāñ meñ
maiñ tum se bahut duur dasht-e-gumāñ meñ
yūñhī rote rote jo hañsne lagā thā
mirī vo hañsī kyā vahāñ aa rahī thī
tumheñ kuchh ḳhabar hai
kisī haath kī ek halkī sī dhap ne
rulāyā thā tum ko
mire kaan meñ tab azaañ aa rahī thī
tumhein kuchh KHabar hai
ki jab main nahin tha to tab main kahan tha
main ek mas ban kar kisi saKHt ghere mein jakDa hua tha
main KHunin andheron mein luthDa hua tha
nahin jaanta tha
ki main hun kahan hun
nahin jaanta tha
ki tum ho kahan ho
tumhein kuchh KHabar hai
koi shakl le kar main janma tha jis din
main janma nahin tha
khuli aankh se kitne chehre dikhe the
khuli habs ke karan wo chehra nahin tha
tumhein kuchh KHabar hai
main jis lamhe janma gaya is jahan mein
azan mere kanon mein Dali gai thi
na jaane mujhe kyun sunai na di thi
magar ek gambhir DaDhi chubhi thi
main rone laga tha
mujhe wo azan par sunai na di thi
tumhein kuchh KHabar hai
ki jis lamhe janmi gain tum jahan mein
main tum se bahut dur dasht-e-guman mein
yunhi rote rote jo hansne laga tha
meri wo hansi kya wahan aa rahi thi
tumhein kuchh KHabar hai
kisi hath ki ek halki si dhap ne
rulaya tha tum ko
mere kan mein tab azan aa rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.