madrasa ali-gaDh
ḳhudā alī-gaḌh ke madrase ko tamām amrāz se shifā de
bhare hue haiñ raīs-zāde amīr-zāde sharīf-zāde
latīf o ḳhush-vaz.a chust o chālāk o saaf o pākīza shād-o-ḳhurram
tabī.atoñ meñ hai in kī jaudat diloñ meñ in ke haiñ nek irāde
kamāl-e-mehnat se paḌh rahe haiñ kamāl-e-ġhairat se paḌh rahe haiñ
savār mashriq raah meñ haiñ to maġhribī raah meñ piyāde
har ik hai in meñ kā be-shak aisā ki aap use chāhte haiñ jaisā
dikhāve mahfil meñ qadd-e-ra.anā jo aap aa.eñ to sar jhukā de
faqīr māñge to saaf kah deñ ki tū hai mazbūt jā kamā khā
qubūl farmā.eñ aap dāvat to apnā sarmāya kul khilā de
butoñ se in ko nahīñ lagāvaT misoñ kī lete nahīñ vo aahaT
tamām quvvat hai sarf-e-ḳhvāndan nazar ke bhole haiñ dil ke saade
nazar bhī aa.e jo zulf-e-pechāñ to samjheñ ye koī policy hai
electric light us ko samjheñ jo barq-vash koī kuude
nikalte haiñ kar ke ġhol-bandī ba-nām-e-tahzīb o dard-mandī
ye kah ke lete haiñ sab se chande jo tum hameñ do tumheñ ḳhudā de
unheñ isī baat par yaqīñ hai ki bas yahī asl kār-e-dīñ hai
isī se hogā faroġh-e-qaumī isī se chamkeñge baap daade
makān-e-college ke sab makīñ haiñ abhī unheñ tajrabe nahīñ haiñ
ḳhabar nahīñ hai ki aage chal kar hai kaisī manzil haiñ kaise jaade
diloñ meñ in ke haiñ nūr-e-īmāñ qavī nahīñ hai magar nigahbāñ
havā-e-mantiq adā-e-tiflī ye sham.a aisā na ho bujhā de
fareb de kar nikāle matlab sikhā.e tahqīr-e-dīn-o-mazhab
miTā de āḳhir ko dīn-o-maz.hab numūd-e-zātī ko go baḌhā de
yahī bas 'akbar' kī iltijā hai janāb baarī meñ ye duā hai
uluum o hikmat kā dars in ko professor deñ samajh ḳhudā de
KHuda ali-gaDh ke madrase ko tamam amraaz se shifa de
bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade
latif o KHush-waza chust o chaalak o saf o pakiza shad-o-KHurram
tabiaton mein hai in ki jaudat dilon mein in ke hain nek irade
kamal-e-mehnat se paDh rahe hain kamal-e-ghairat se paDh rahe hain
sawar mashriq rah mein hain to maghribi rah mein piyaade
har ek hai in mein ka be-shak aisa ki aap use chahte hain jaisa
dikhawe mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de
faqir mange to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha
qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de
buton se in ko nahin lagawaT mison ki lete nahin wo aahaT
tamam quwwat hai sarf-e-KHwandan nazar ke bhole hain dil ke sade
nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai
electric light us ko samjhen jo barq-wash koi kude
nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi
ye kah ke lete hain sab se chande jo tum hamein do tumhein KHuda de
unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asl kar-e-din hai
isi se hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade
makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain
KHabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaise jade
dilon mein in ke hain nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban
hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de
fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab
miTa de aaKHir ko din-o-mazhab numud-e-zati ko go baDha de
yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab bari mein ye dua hai
ulum o hikmat ka dars in ko professor den samajh KHuda de
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 62)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.