magar
maiñ hasīñ huuñ magar
is qadar bhī nahīñ
mujh ko mālūm hai
jāntī huuñ ki maiñ
tere alfāz kī
sab hai jādūgarī
tere alfāz ne
aur junūñ ne tire
apne sheroñ meñ kar ke bayāñ merā husn
dilkashī ko mirī
shā.irī ko mirī
ek pahchān dī
har zabāñ par mirā
tazkira hai'' magar
mujh ko sach sach batā
ai suḳhnavar mire
ai mire jādūgar
tere ash.ār ne
guftugū ne tirī
aur junūñ ne tire
mujh ko pahchān dī
merā charchā kiyā
yā zamāne meñ bas
mujh ko rusvā kiyā
main hasin hun magar
is qadar bhi nahin
mujh ko malum hai
jaanti hun ki main
tere alfaz ki
sab hai jadugari
tere alfaz ne
aur junun ne tere
apne sheron mein kar ke bayan mera husn
dilkashi ko meri
shairi ko meri
ek pahchan di
har zaban par mera
tazkira hai magar
mujh ko sach sach bata
ai suKHnawar mere
ai mere jadugar
tere ashaar ne
guftugu ne teri
aur junun ne tere
mujh ko pahchan di
mera charcha kiya
ya zamane mein bas
mujh ko ruswa kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.