magar main KHuda se kahunga
magar maiñ ḳhudā se kahūñgā
ḳhudā-vand! merī sazā tū kisī aur ko de
ki maiñ ne yahāñ
is zamīñ par
sazā.eñ qubūliñ haiñ un kī
ki jin se mujhe sirf itnā ta.alluq rahā hai
ki maiñ aur vo
donoñ tujh ko ḳhudā mānte the!
ye sach hai
tirā aks dekhā thā ham ne alag ā.īnoñ meñ
magar maiñ ḳhudā se kahūñgā
ḳhudā-vand! ye din qayāmat kā din hai
ye vo din hai
jab tū ne ham sab pe apne ko zāhir kiyā hai
to is vaqt mere gunāhoñ se parda uThā kar
ḳhudāvand! tū apnī nūrāniyoñ
apnī tābāniyoñ ko mulavvis na kar
mujhe muaaf kar de
use muaaf kar de
ki maiñ aur vo donoñ tujh ko ḳhudā mānte the
ye sach hai
tirā aks dekhā thā ham ne alag ā.īnoñ meñ
hameñ muaaf kar de
ki ham ne sazā.eñ qubūl kī haiñ ik dūsre kii!
hameñ muaaf kar de
ki saare gunāh saarī taqsīreñ
sach sach batā.ūñ
isī din kī ḳhātir huī thiiñ
magar main KHuda se kahunga
KHuda-wand! meri saza tu kisi aur ko de
ki main ne yahan
is zamin par
sazaen qubulin hain un ki
ki jin se mujhe sirf itna talluq raha hai
ki main aur wo
donon tujh ko KHuda mante the!
ye sach hai
tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein
magar main KHuda se kahunga
KHuda-wand! ye din qayamat ka din hai
ye wo din hai
jab tu ne hum sab pe apne ko zahir kiya hai
to is waqt mere gunahon se parda uTha kar
KHudawand! tu apni nuraniyon
apni tabaniyon ko mulawwis na kar
mujhe muaf kar de
use muaf kar de
ki main aur wo donon tujh ko KHuda mante the
ye sach hai
tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein
hamein muaf kar de
ki hum ne sazaen qubul ki hain ek dusre ki!
hamein muaf kar de
ki sare gunah sari taqsiren
sach sach bataun
isi din ki KHatir hui thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.