magar ye zaKHm ye marham
tumhāre naam tumhāre nishāñ se be-sarokār
tumhārī yaad ke mausam guzarte jaate haiñ
bas ek manzar-e-be-hijr-o-visāl hai jis meñ
ham apne aap hī kuchh rañg bharte jaate haiñ
na vo nashāt-e-tasavvur ki lo tum aa hī ga.e
na zaḳhm-e-dil kī hai sozish koī jo sahnī ho
na koī va.ada-o-paimāñ kī shaam hai na sahar
na shauq kī hai koī dāstāñ jo kahnī ho
nahīñ jo mahmil-e-lailā-e-ārzū sar-e-rāh
to ab fazā meñ fazā ke sivā kuchh aur nahīñ
nahīñ jo mauj-e-sabā meñ koī shamīm-e-payām
to ab sabā meñ sabā ke sivā kuchh aur nahīñ
utaar de jo kināre pe ham ko kashtī-e-vahm
to gird-o-pesh ko girdāb hī samajhte haiñ
tumhāre rañg mahakte haiñ ḳhvāb meñ jab bhī
to ḳhvāb meñ bhī unheñ ḳhvāb hī samajhte haiñ
na koī zaḳhm na marham ki zindagī apnī
guzar rahī hai har ehsās ko gañvāne meñ
magar ye zaḳhm ye marham bhī kam nahīñ shāyad
ki ham haiñ ek zamīñ par aur ik zamāne meñ
tumhaare nam tumhaare nishan se be-sarokar
tumhaari yaad ke mausam guzarte jate hain
bas ek manzar-e-be-hijr-o-visal hai jis mein
hum apne aap hi kuchh rang bharte jate hain
na wo nashat-e-tasawwur ki lo tum aa hi gae
na zaKHm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho
na koi wada-o-paiman ki sham hai na sahar
na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho
nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah
to ab faza mein faza ke siwa kuchh aur nahin
nahin jo mauj-e-saba mein koi shamim-e-payam
to ab saba mein saba ke siwa kuchh aur nahin
utar de jo kinare pe hum ko kashti-e-wahm
to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain
tumhaare rang mahakte hain KHwab mein jab bhi
to KHwab mein bhi unhen KHwab hi samajhte hain
na koi zaKHm na marham ki zindagi apni
guzar rahi hai har ehsas ko ganwane mein
magar ye zaKHm ye marham bhi kam nahin shayad
ki hum hain ek zamin par aur ek zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.