mahatma-gandhi
musāfir-e-abadī kī nahīñ koī manzil
yahāñ qayām kiyā yā vahāñ qayām kiyā
tirī vafā ne baḌe marhale kiye āsāñ
faroġh-e-sub.h ko to ne faroġh kaam kiyā
sanam-kadoñ meñ baḌhā e'tibār-e-ahl-e-haram
haram ne dair-nashīnoñ kā ehtirām kiyā
hayāt kyā hai mohabbat kī aag meñ jalnā
ye raaz bhī tire soz-e-vafā ne aam kiyā
uThā uThā ke hijābāt-e-chehrā-e-manzil
musāfirān-e-sadāqat ko tez-gām kiyā
guzar ke dānish-e-hāzir ke āsmānoñ se
buland sādgi-e-ishq kā maqām kiyā
milā jo dast-e-havādis se zahr bhī tujh ko
baḌe ḳhulūs se tū ne sharīk-e-jām kiyā
vo dard terī ḳhamoshī meñ thā nihāñ jis ne
sukūt-e-nāz ko āmāda-e-kalām kiyā
sila thā terī riyāzat kā sub.h-e-āzādī
vo sub.h jis ko ġhulāmoñ ne nañg-e-shām kiyā
abhī to gosh-bar-āvāz thī bharī mahfil
kahāñ ye tū ne kahānī kā iḳhtitām kiyā
ḳhayāl-e-dost kā partav thī kā.enāt tirī
isī talāsh meñ gum ho ga.ī hayāt tirī
musafir-e-abadi ki nahin koi manzil
yahan qayam kiya ya wahan qayam kiya
teri wafa ne baDe marhale kiye aasan
farogh-e-subh ko to ne farogh kaam kiya
sanam-kadon mein baDha e'tibar-e-ahl-e-haram
haram ne dair-nashinon ka ehtiram kiya
hayat kya hai mohabbat ki aag mein jalna
ye raaz bhi tere soz-e-wafa ne aam kiya
uTha uTha ke hijabaat-e-chehra-e-manzil
musafiran-e-sadaqat ko tez-gam kiya
guzar ke danish-e-hazir ke aasmanon se
buland sadgi-e-ishq ka maqam kiya
mila jo dast-e-hawadis se zahr bhi tujh ko
baDe KHulus se tu ne sharik-e-jam kiya
wo dard teri KHamoshi mein tha nihan jis ne
sukut-e-naz ko aamada-e-kalam kiya
sila tha teri riyazat ka subh-e-azadi
wo subh jis ko ghulamon ne nang-e-sham kiya
abhi to gosh-bar-awaz thi bhari mahfil
kahan ye tu ne kahani ka iKHtitam kiya
KHayal-e-dost ka partaw thi kaenat teri
isi talash mein gum ho gai hayat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.