Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah gandhi

Nazeer Banarasi

aah gandhi

Nazeer Banarasi

MORE BYNazeer Banarasi

    Interesting Fact

    The poem was penned immediately on hearing the news of Mr.Gandhi's assassination.

    tire mātam meñ shāmil haiñ zamīn o āsmāñ vaale

    ahinsā ke pujārī sog meñ haiñ do jahāñ vaale

    tirā armān puurā hogā ai amn-o-amāñ vaale

    tire jhanDe ke nīche ā.eñge saare jahāñ vaale

    mire būḌhe bahādur is buḌhāpe meñ javāñ-mardī

    nishāñ golī ke siine par haiñ golī ke nishāñ vaale

    nishāñ haiñ goliyoñ ke khile haiñ phuul siine par

    usī ko maar Daalā jis ne sar ūñchā kiyā sab

    na kyuuñ ġhairat se sar nīchā kareñ hindostāñ vaale

    mire gāñdhī zamīñ vāloñ ne terī qadr jab kam

    uThā kar le ga.e tujh ko zamīñ se āsmāñ vaale

    zamīñ par jin mātam hai falak par dhuum hai un

    zarā der meñ dekho kahāñ pahuñche kahāñ vaale

    pahuñchtā dhuum se manzil pe apnā kārvāñ ab tak

    agar dushman na hote kārvāñ ke kārvāñ vaale

    sunegā ai 'nazīr' ab kaun mazlūmoñ fariyādeñ

    fuġhāñ le kar kahāñ jā.eñge ab āh-o-fuġhāñ vaale

    tere matam mein shamil hain zamin o aasman wale

    ahinsa ke pujari sog mein hain do jahan wale

    tera arman pura hoga ai amn-o-aman wale

    tere jhanDe ke niche aaenge sare jahan wale

    mere buDhe bahadur is buDhape mein jawan-mardi

    nishan goli ke sine par hain goli ke nishan wale

    nishan hain goliyon ke ya khile hain phul sine par

    usi ko mar Dala jis ne sar uncha kiya sab ka

    na kyun ghairat se sar nicha karen hindostan wale

    mere gandhi zamin walon ne teri qadr jab kam ki

    uTha kar le gae tujh ko zamin se aasman wale

    zamin par jin ka matam hai falak par dhum hai un ki

    zara si der mein dekho kahan pahunche kahan wale

    pahunchta dhum se manzil pe apna karwan ab tak

    agar dushman na hote karwan ke karwan wale

    sunega ai 'nazir' ab kaun mazlumon ki fariyaaden

    fughan le kar kahan jaenge ab aah-o-fughan wale

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 39)
    • Author : Nazeer Banarsi
    • Publication : Educational Publishing House (2014)
    • Edition : 2014

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now