Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi ke baad

Izhaar Malihabadi

gandhi ke baad

Izhaar Malihabadi

MORE BYIzhaar Malihabadi

    ba.ad gāñdhī ke na sun ham ne samāñ dekhā kyā

    fasl-e-gul aate har bāġh-o-chaman ujḌā kyā

    dil afsurda ho jab peshkash-e-sahbā kyā

    aañkh jab na rahe da.avat-e-nazzāra kyā

    zindagī maut se bad-tar ho to phir jiinā kyā

    bhuuk se dāman-e-hastī ko siye jaate haiñ

    zindagī chhīn ke auroñ ke jiye jaate haiñ

    har-nafas ahd vafāoñ ke liye jaate haiñ

    ḳhuun arzāñ hai ġharīboñ piye jaate haiñ

    jab ye piine par aa jaa.eñ to phir dariyā kyā

    husn bhī ġhamza-o-andāz-o-adā bhuul gayā

    ishq bhī jalva-e-rañgīñ ziyā bhuul gayā

    jo parastār-e-vafā thā vo vafā bhuul gayā

    raah sunte haiñ ki ḳhud rāh-numā bhuul gayā

    kārvāñ manzil-e-maqsūd pe pahuñchātā kyā

    ye jo aa.ī hai hamāre lahū hai bahār

    ye jo uḌtā hai hamāre diloñ hai ġhubār

    barahman hai to koī ābid-e-shab-zinda-dār

    koī suntā nahīñ is daur meñ insāñ pukār

    bazm-e-mātam meñ jo chheḌe to koī naġhma kyā

    ḳhirman-e-zulm ko ab aag lagā de koī

    chāñd-tāroñ ke charāġhoñ ko bujhā de koī

    āsmānoñ ko zamīnoñ pe jhukā de koī

    ke 'gāñdhī' ki ye sab haal sunā de koī

    zulm dhāte haiñ ahinsā ke pujārī kyā kyā

    baad gandhi ke na sun hum ne saman dekha kya

    fasl-e-gul aate hi har bagh-o-chaman ujDa kya

    dil hi afsurda ho jab peshkash-e-sahba kya

    aankh hi jab na rahe dawat-e-nazzara kya

    zindagi maut se bad-tar ho to phir jina kya

    bhuk se daman-e-hasti ko siye jate hain

    zindagi chhin ke auron ke jiye jate hain

    har-nafas ahd wafaon ke liye jate hain

    KHun arzan hai gharibon ka piye jate hain

    jab ye pine hi par aa jaen to phir dariya kya

    husn bhi ghamza-o-andaz-o-ada bhul gaya

    ishq bhi jalwa-e-rangin ki ziya bhul gaya

    jo parastar-e-wafa tha wo wafa bhul gaya

    rah sunte hain ki KHud rah-numa bhul gaya

    karwan manzil-e-maqsud pe pahunchata kya

    ye jo aai hai hamare hi lahu ki hai bahaar

    ye jo uDta hai hamare hi dilon ka hai ghubar

    barahman hai to koi aabid-e-shab-zinda-dar

    koi sunta nahin is daur mein insan ki pukar

    bazm-e-matam mein jo chheDe to koi naghma kya

    KHirman-e-zulm ko ab aag laga de koi

    chand-taron ke charaghon ko bujha de koi

    aasmanon ko zaminon pe jhuka de koi

    ja ke 'gandhi' ki ye sab haal suna de koi

    zulm dhate hain ahinsa ke pujari kya kya

    Source :
    • Naye Tarane

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now