mahfil-e-shab
kitnī vīrān hai ye mahfil-e-shab
na sitāre na charāġh
ik ghanī dhund hai gardūñ pe muhīt
chāñd hai chāñd kā daaġh
phailte jaate haiñ manzar ke ḳhutūt
bujhtā jaatā hai dimāġh
rāste ghul ga.e tārīkī meñ
toḌ kar zo.am-e-safar
kaun had-e-nazar dekh sake
miT ga.ī had-e-nazar
saikḌoñ manzileñ tai kar to chuke
lekin ab jaa.eñ kidhar
āsmāñ hai na zamīñ hai shāyad
kuchh nahīñ kuchh nahīñ
in ḳhalāoñ meñ pukāreñ to kise
koī suntā hī nahīñ
ek duniyā to hai ye bhī lekin
apnī duniyā sī nahīñ
dosto aao qarīb aa jaao
aa ke dekho to sahī
ek halqe meñ bujhī āñkhoñ ko
lā ke dekho to sahī
shāyad āvāz pe āvāz aa.e!
de ke dekho to sahī
kitni viran hai ye mahfil-e-shab
na sitare na charagh
ek ghani dhund hai gardun pe muhit
chand hai chand ka dagh
phailte jate hain manzar ke KHutut
bujhta jata hai dimagh
raste ghul gae tariki mein
toD kar zoam-e-safar
kaun had-e-nazar dekh sake
miT gai had-e-nazar
saikDon manzilen tai kar to chuke
lekin ab jaen kidhar
aasman hai na zamin hai shayad
kuchh nahin kuchh nahin
in KHalaon mein pukaren to kise
koi sunta hi nahin
ek duniya to hai ye bhi lekin
apni duniya si nahin
dosto aao qarib aa jao
aa ke dekho to sahi
ek halqe mein bujhi aankhon ko
la ke dekho to sahi
shayad aawaz pe aawaz aae!
de ke dekho to sahi
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 260)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.