mahfuz asasa
āfāt kā tūfān muḌā jab mirī jānib
tārāj kiyā ghar ko mire chashm-zadan meñ
aisī mire maskan kī huī shakl-o-shabāhat
jaise koī pāmāl-shuda laash ho ran meñ
sab ho ga.e ajzā-e-makāñ ḳhaak meñ shāmil
baiThā huuñ liye dil meñ ġham-e-saqf-o-dar-o-tāq
hamrāh makāñ ke ga.ī har chiiz bhī ghar kī
mahfūz haiñ lekin mire dīvān ke aurāq
aafat ka tufan muDa jab meri jaanib
taraj kiya ghar ko mere chashm-zadan mein
aisi mere maskan ki hui shakl-o-shabahat
jaise koi pamal-shuda lash ho ran mein
sab ho gae ajza-e-makan KHak mein shamil
baiTha hun liye dil mein gham-e-saqf-o-dar-o-taq
hamrah makan ke gai har chiz bhi ghar ki
mahfuz hain lekin mere diwan ke auraq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.