mahine ke aKHir dinon mein
ghar meñ dāḳhil hote hī
ham ḳhud ko āvāzeñ dene lagte haiñ
aur kapḌoñ se bharā shopping bag
pheñk dete haiñ bed ke nīche
rakhte haiñ apne juute sofe par
aur almārī ke darāz se kachche amrūd nikāl kar
bed-shēt se ragaḌte haiñ
aur katarne lagte haiñ chaar din purāne biscuit
jab bhī nazar paḌtī hai aa.ine pe
ḳhud ko gāliyāñ dete haiñ
T.V se Toñ Toñ kī āvāz aane par
remote ke saat TukḌe kar ke
billī ke aage Daal dete haiñ
credit ḳhatm ho jaane par
cell-phone pe shīrīñ lahje vaalī doshīza ko
kharī kharī sunāte haiñ
aur frēze ke nichle darvāze ko zor se band kar ke
ḳhālī oven meñ so jaate haiñ
ghar mein daKHil hote hi
hum KHud ko aawazen dene lagte hain
aur kapDon se bhara shopping bag
phenk dete hain bed ke niche
rakhte hain apne jute sofe par
aur almari ke daraaz se kachche amrud nikal kar
bed-sheet se ragaDte hain
aur katarne lagte hain chaar din purane biscuit
jab bhi nazar paDti hai aaine pe
KHud ko galiyan dete hain
TV se Ton Ton ki aawaz aane par
remote ke sat TukDe kar ke
billi ke aage Dal dete hain
credit KHatm ho jaane par
cell-phone pe shirin lahje wali doshiza ko
khari khari sunate hain
aur freeze ke nichle darwaze ko zor se band kar ke
KHali owen mein so jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.