mahmud-o-ayaz
jahāñ meñ bār-e-ḳhudāyā koī vakīl na ho
vakīl ho to vakālat meñ be-adīl na ho
jo be-adīl bhī ho jaa.e to jamīl na ho
jamīl ho to siyāsat meñ kuchh daḳhīl na ho
ye ḳhūbiyāñ jo ba-yak-vaqt koī paatā hai
dimāġh us kā yaqīnan ḳharāb jaatā hai
har ik ko dekhne lagtā hai vo hiqārat se
kisī se baat bhī kartā hai gar to naḳhvat se
har ik ko kartā hai mar.ūb apnī fitrat se
qadam zamīn pe rakhtā nahīñ ra.ūnat se
zamīr-e-qaisar-o-hāmān ban ke rahtā hai
vo apne ahd kā shaitān ban ke rahtā hai
kabhī kabhī use hotā hai apnī zaat pe naaz
kabhī ghamanD liyāqat pe aur sifāt pe naaz
kabhī namāziyoñ meñ saum aur salāt pe naaz
ġharaz ki us ko hai apnī har ek baat pe naaz
yahī jo haal rahā us kī ḳhud-satā.ī kā
ajab nahīñ ki vo da.avā kare ḳhudā.ī kā
aur us ke saath jo hai ik bahut baḌā vasfī
munāfiqat meñ hī jis kī tamām umr ga.ī
pa.e-numūd rahī jis ko roz bechainī
kisī ne ḳhuub kasī us ko dekh kar phabtī
ḳhudā kā shukr ki ik ahd hīlā-sāz milā
ḳhudā kā shukr ki mahmūd ko ayaaz milā
jahan mein bar-e-KHudaya koi wakil na ho
wakil ho to wakalat mein be-adil na ho
jo be-adil bhi ho jae to jamil na ho
jamil ho to siyasat mein kuchh daKHil na ho
ye KHubiyan jo ba-yak-waqt koi pata hai
dimagh us ka yaqinan KHarab jata hai
har ek ko dekhne lagta hai wo hiqarat se
kisi se baat bhi karta hai gar to naKHwat se
har ek ko karta hai marub apni fitrat se
qadam zamin pe rakhta nahin raunat se
zamir-e-qaisar-o-haman ban ke rahta hai
wo apne ahd ka shaitan ban ke rahta hai
kabhi kabhi use hota hai apni zat pe naz
kabhi ghamanD liyaqat pe aur sifat pe naz
kabhi namaziyon mein saum aur salat pe naz
gharaz ki us ko hai apni har ek baat pe naz
yahi jo haal raha us ki KHud-satai ka
ajab nahin ki wo dawa kare KHudai ka
aur us ke sath jo hai ek bahut baDa wasfi
munafiqat mein hi jis ki tamam umr gai
pae-numud rahi jis ko roz bechaini
kisi ne KHub kasi us ko dekh kar phabti
KHuda ka shukr ki ek ahd hila-saz mila
KHuda ka shukr ki mahmud ko ayaz mila
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.