mahrumi
jaise tārīkī meñ saa.e kho jaate haiñ
isī tarah
mujhe yaqīn hai
ki
tum mere nazdīk
aur bahut nazdīk
maujūd ho
lekin
dikhā.ī nahīñ dete
maiñ
is tārīk māhaul meñ
parchhā.iyoñ ko
chhūtā huuñ
lekin is amal meñ
mere haath aatā hai
sirf ThanDī raakh kā Dher
jaise tariki mein sae kho jate hain
isi tarah
mujhe yaqin hai
ki
tum mere nazdik
aur bahut nazdik
maujud ho
lekin
dikhai nahin dete
main
is tarik mahaul mein
parchhaiyon ko
chhuta hun
lekin is amal mein
mere hath aata hai
sirf ThanDi rakh ka Dher
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 60)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.