mahshar
dil-e-vahshī junūñ kī kaun sī manzil thī kal shab
jahāñ bāham hue qazzāq-o-dilbar
chale ḳhanjar gale par āstīñ par
dil-o-dāman pe dastār-o-jabīñ par
ajab ek shor thā mahshar bapā thā
bahut āh-o-fuġhāñ andoh jaanī
hazāroñ zaḳhm aur ek saḳht jaanī
na jaane shiddat-e-yalġhār kyā thī
nahīñ ma.alūm kyā muddat rahī
kisht-e-nigārāñ kī
khulī jab aañkh to
ek TūTte nashe kā aalam thā
shafaq-gūñ thā ufuq dil kā
chaman kā rāsta dhabboñ se pur thā
aur sabā dāman meñ apne ḳhuun kī bū baas rakhtī thī
nazāra dīdanī thā
aur dil-e-betāb ne dekhā
lahū se laal hai sehn-e-chaman aur har taraf
bad-rañg ḳhuuñ kī lāla-kārī hai
nagīna dil kā sau TukḌe paḌā hai
aur har TukḌe meñ koī aks-e-vahshī hai
dil-o-dilbar kī āshufta-sarī hai
dil-o-dilbar kī rāhoñ meñ
faqat shīshe kī kircheñ haiñ
dil-e-wahshi junun ki kaun si manzil thi kal shab
jahan baham hue qazzaq-o-dilbar
chale KHanjar gale par aastin par
dil-o-daman pe dastar-o-jabin par
ajab ek shor tha mahshar bapa tha
bahut aah-o-fughan andoh jaani
hazaron zaKHm aur ek saKHt jaani
na jaane shiddat-e-yalghaar kya thi
nahin malum kya muddat rahi
kisht-e-nigaran ki
khuli jab aankh to
ek TuTte nashe ka aalam tha
shafaq-gun tha ufuq dil ka
chaman ka rasta dhabbon se pur tha
aur saba daman mein apne KHun ki bu bas rakhti thi
nazara didani tha
aur dil-e-betab ne dekha
lahu se lal hai sehn-e-chaman aur har taraf
bad-rang KHun ki lala-kari hai
nagina dil ka sau TukDe paDa hai
aur har TukDe mein koi aks-e-wahshi hai
dil-o-dilbar ki aashufta-sari hai
dil-o-dilbar ki rahon mein
faqat shishe ki kirchen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.