mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu
mai-shikasta-dilī ai harīf-e-zauq-e-numū
kisī guzishta sadī ke utāq-e-vīrāñ se
na Daal aur mire dil pe sāya-e-gesū
vo ankabūt jo tār-e-nafas meñ jiite haiñ
na jaane kaise dar aa.e haiñ terī mahfil meñ
ki ḳhuun ye bhī tire rat-jagoñ kā piite haiñ
maiñ jāntā huuñ kise mil sakī kise na milī
vo gul-sarā.e bahisht-e-āfrīñ magar phir bhī
mujhe nahufta na rakh ai mai-e-shikasta-dilī
mire zuhūr meñ kuchh mumkināt mere haiñ
maiñ dekh paañv agar tujh se is ufuq se pare
to phir ye saare daraḳhshāñ jihāt mere haiñ
mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu
kisi guzishta sadi ke utaq-e-viran se
na Dal aur mere dil pe saya-e-gesu
wo ankabut jo tar-e-nafas mein jite hain
na jaane kaise dar aae hain teri mahfil mein
ki KHun ye bhi tere rat-jagon ka pite hain
main jaanta hun kise mil saki kise na mili
wo gul-sarae bahisht-e-afrin magar phir bhi
mujhe nahufta na rakh ai mai-e-shikasta-dili
mere zuhur mein kuchh mumkinat mere hain
main dekh panw agar tujh se is ufuq se pare
to phir ye sare daraKHshan jihat mere hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 313)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.