maidan
ḳhayāl shaitān kī aañt kī tarah umūdī
duurī ke maidān meñ khaḌā hai
dostoñ ke haj kā zamāna
un ke gird tavāf kartā rahtā hai
bahte paanī meñ haath Dubo kar
tumheñ chhū letā huuñ
shīsham ke peḌ pe fāḳhta
boltī rahtī hai
mere paas sirf merā rāsta hai
jis se maiñ anjān huuñ
dhuup ke khel meñ
sāyoñ se nahīñ ulajhnā chāhiye
KHayal shaitan ki aant ki tarah umudi
duri ke maidan mein khaDa hai
doston ke haj ka zamana
un ke gird tawaf karta rahta hai
bahte pani mein hath Dubo kar
tumhein chhu leta hun
shisham ke peD pe faKHta
bolti rahti hai
mere pas sirf mera rasta hai
jis se main anjaan hun
dhup ke khel mein
sayon se nahin ulajhna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.