main achchha fankar nahin
parinde mujh se daanā haiñ
apnī māsūmiyat zinda rakhne ke liye
hijrat kar jaate haiñ
lomaḌiyāñ apnā dushman pahchān letī haiñ
bheḌeñ apnī uun se ḳhvāb buntī rahtī haiñ
log apne mālikoñ kī lānat sameT kar bhī
un ke qadam māpte rahte haiñ
jaise bhī ho
zinda rahnā ek fan hai
zindagī ke khel meñ ab tak
maiñ izāfī kirdār hī rahā huuñ
jise kabhī bhī khel-badar kiyā jā saktā hai
parinde mujh se dana hain
apni masumiyat zinda rakhne ke liye
hijrat kar jate hain
lomaDiyan apna dushman pahchan leti hain
bheDen apni un se KHwab bunti rahti hain
log apne malikon ki lanat sameT kar bhi
un ke qadam mapte rahte hain
jaise bhi ho
zinda rahna ek fan hai
zindagi ke khel mein ab tak
main izafi kirdar hi raha hun
jise kabhi bhi khel-badar kiya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.