main ajab aadmi hun
maiñ ajab aadmī huuñ
rā.egānī ke tasalsul ne mujhe toḌ diyā
merī pūñjī mire qirtās o qalam
kuchh kitābeñ pa.e-taskīn-e-junūñ
kaun tālib hai bhalā māya-e-be-māya kā
koī jāgīr nahīñ
zindagī sher ke mele meñ gañvā dī maiñ ne
is pe nāzāñ thā ki har lafz mire
halqa-e-ehsās meñ hai
is pe fāḳhir thā ki haiñ ḳhvāb
mire kiise meñ
maiñ ne kyā kyā na fan-e-sher kī ārā.ish kī
lafz-dar-lafz mahal
harf-dar-harf ḳhayāl
satr-dar-satr junūñ
maiñ ajab aadmī huuñ
zindagī sher ke mele meñ gañvā dī maiñ ne
main ajab aadmi hun
raegani ke tasalsul ne mujhe toD diya
meri punji mere qirtas o qalam
kuchh kitaben pae-taskin-e-junun
kaun talib hai bhala maya-e-be-maya ka
koi jagir nahin
zindagi sher ke mele mein ganwa di main ne
is pe nazan tha ki har lafz mere
halqa-e-ehsas mein hai
is pe faKHir tha ki hain KHwab
mere kise mein
main ne kya kya na fan-e-sher ki aaraish ki
lafz-dar-lafz mahal
harf-dar-harf KHayal
satr-dar-satr junun
main ajab aadmi hun
zindagi sher ke mele mein ganwa di main ne
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 18)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.