Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ajnabi nahin

Shamim Shahzad

main ajnabi nahin

Shamim Shahzad

MORE BYShamim Shahzad

    mire ḳhudā mire qalb ko munavvar kar

    mire vajūd ko behtar se aur behtar kar

    mirī hayāt tire zikr meñ guzar jaa.e

    karam bas itnā ai parvardigār mujh par kar

    agar hai sar pe mire āftāb rakhnā

    nasīb meñ hai agar iztirāb rakhnā

    ai ḳhudā-e-karīm ik yahī duā sun le

    har imtihāñ meñ mujhe kāmyāb rakhnā

    mirā zamīr kabhī dāġh-dār ho na sake

    kisī ke sāmne bhī sharmsār ho na sake

    mujhe nafs mere kabhī ġhulām na kar

    kabhī vo zehn pe hargiz savār ho na sake

    mire shu.ūr ko kuchh aur qavī kar de

    mere zehn ko kuchh aur ġhanī kar de

    har ek lafz meñ maiñ zindagī pirotā rahūñ

    mere karb ko kuchh aur shabnamī kar de

    maiñ jāntā huuñ ki kuchh bhī nahīñ huuñ duniyā maiñ

    judā judā huuñ gosha-nashīñ huuñ duniyā meñ

    magar hai phir bhī tirā shukr ai mire mālik

    maiñ ajnabī nahīñ raushan-jabīñ huuñ duniyā meñ

    mere KHuda tu mere qalb ko munawwar kar

    mere wajud ko behtar se aur behtar kar

    meri hayat tere zikr mein guzar jae

    karam bas itna ai parwardigar mujh par kar

    agar hai sar pe mere aaftab hi rakhna

    nasib mein hai agar iztirab hi rakhna

    tu ai KHuda-e-karim ek yahi dua sun le

    har imtihan mein mujhe kaamyab hi rakhna

    mera zamir kabhi dagh-dar ho na sake

    kisi ke samne bhi sharmsar ho na sake

    mujhe tu nafs ka mere kabhi ghulam na kar

    kabhi wo zehn pe hargiz sawar ho na sake

    mere shuur ko kuchh aur hi qawi kar de

    tu mere zehn ko kuchh aur hi ghani kar de

    har ek lafz mein main zindagi pirota rahun

    tu mere karb ko kuchh aur shabnami kar de

    main jaanta hun ki kuchh bhi nahin hun duniya main

    juda juda sa hun gosha-nashin hun duniya mein

    magar hai phir bhi tera shukr ai mere malik

    main ajnabi nahin raushan-jabin hun duniya mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now