main aksar sard raaton mein
maiñ aksar sard rātoñ meñ
zamīn-e-ḳhāna-e-dil par
akele baiTh jaatā huuñ
phir apnā sar jhukā kar yād-e-ahd-e-raftagāñ dil meñ sajātā huuñ
ḳhayāl-e-māzī-e-daurāñ mire is jism ke andar ajab tūfāñ uThātā hai
hazāroñ miil kā lambā safar paidal karātā hai
maiñ yādoñ ke dhuñdlakoñ meñ tumhāre naqsh-e-pā ko DhūñDne jab bhī nikaltā huuñ
to ik tārīk vaadī meñ utartā huuñ
jahāñ yādoñ kī kuchh be-rañg tasvīreñ mujhe bikhrī paḌī ma.alūm detī haiñ
mujhe āvāz detī haiñ
ki vahshat kā ye jañgal bāheñ phailā.e bulātā hai
mirā shauq-e-nazar thak kar zamīn par baiTh jaatā hai
achānak jab tumhārī yaad ke vahshī jānvar āvāz dete haiñ
maiñ Dartā huuñ
ki jaise koī bachcha apne hī saa.e se Dar jaa.e
koī shīsha bikhar jaa.e
koī furqat meñ ghabrā.e
mire tār-e-nafas par zarb kartī mustaqil dhaḌkan
mujhe rukne nahīñ detī
mujhe thakne nahīñ detī
ye bechainī mujhe phir ik safar par le ke aatī hai
maiñ chaltā huuñ
ki jaise ik musāfir ba.ad muddat apne ghar jaa.e
ThiThurtī sard rātoñ meñ
koī jaise ki jam jaa.e
ki jaise saañs tham jaa.e
magar mere muqaddar meñ
sukūn-e-qalb-o-jāñ kab hai
nigāh-e-yās meñ mub.ham sahī koī nishāñ kab hai
kahīñ par shorish-e-amvāj-e-dariyā hai
kahīñ āvāz-e-qulqul hai
magas kā shor hai sarsar sabā kī āh-o-giryā hai
so dil apnā machaltā hai
kisī se kab bahaltā hai
dhuāñ uThtā hai dil se aañkh meñ tūfāñ machaltā hai
tabī.at zor kartī hai
ye dhaḌkan shor kartī hai
tumhārī yaad ke ye chīḳhte aur pīTte lamhe
mujhe rone nahīñ dete
mujhe sone nahīñ dete
main aksar sard raaton mein
zamin-e-KHana-e-dil par
akele baiTh jata hun
phir apna sar jhuka kar yaad-e-ahd-e-raftagan dil mein sajata hun
KHayal-e-mazi-e-dauran mere is jism ke andar ajab tufan uThata hai
hazaron mil ka lamba safar paidal karaata hai
main yaadon ke dhundlakon mein tumhaare naqsh-e-pa ko DhunDne jab bhi nikalta hun
to ek tarik wadi mein utarta hun
jahan yaadon ki kuchh be-rang taswiren mujhe bikhri paDi malum deti hain
mujhe aawaz deti hain
ki wahshat ka ye jangal bahen phailae bulata hai
mera shauq-e-nazar thak kar zamin par baiTh jata hai
achanak jab tumhaari yaad ke wahshi jaanwar aawaz dete hain
main Darta hun
ki jaise koi bachcha apne hi sae se Dar jae
koi shisha bikhar jae
koi furqat mein ghabrae
mere tar-e-nafas par zarb karti mustaqil dhaDkan
mujhe rukne nahin deti
mujhe thakne nahin deti
ye bechaini mujhe phir ek safar par le ke aati hai
main chalta hun
ki jaise ek musafir baad muddat apne ghar jae
ThiThurti sard raaton mein
koi jaise ki jam jae
ki jaise sans tham jae
magar mere muqaddar mein
sukun-e-qalb-o-jaan kab hai
nigah-e-yas mein mubham sahi koi nishan kab hai
kahin par shorish-e-amwaj-e-dariya hai
kahin aawaz-e-qulqul hai
magas ka shor hai sarsar saba ki aah-o-girya hai
so dil apna machalta hai
kisi se kab bahalta hai
dhuan uThta hai dil se aankh mein tufan machalta hai
tabiat zor karti hai
ye dhaDkan shor karti hai
tumhaari yaad ke ye chiKHte aur piTte lamhe
mujhe rone nahin dete
mujhe sone nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.