main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
zamāne kho ga.e ā.inda o rafta ke mele meñ
zamīneñ gum huiiñ paikār-e-has-o-nīst meñ aisī
koī naqsha makānoñ aur makīnoñ tak
pahuñchne kā zariya bhī nahīñ bantā hai
tasvīreñ ab apnī bastiyoñ meñ
dam-ba-ḳhud sahmī huī nādim paḌī haiñ
maiñ albam ke varaq jab bhī ulaTtā huuñ
to kuchh aañsū ke qatre jhilmilāte haiñ
fasurda gum-shuda chehre
ġhubār-e-nā-shanāsā.ī meñ
kuchh dhuñdle hayyūloñ kī tarah
fariyād karte haiñ
varaq albam ke guzre mausamoñ
maġhmūm āñkhoñ train kī khiḌkī se
hilte hāthoñ pīchhe chhūTtī ābādiyoñ
ko yaad karte haiñ
maiñ albam ke varaq jab bhī ulaTtā huuñ
kisī dasht-e-farāmoshī meñ
sūkhe peḌ par
ik āḳhirī patte kī sūrat
saare lamhe mujh ko tanhā chhoḌ aate haiñ
maiñ is tanhā.ī ke jañgal meñ
larzāñ dil-pareshāñ raqs kartā huuñ
maiñ ḳhud ko bhuul jaane kā
yaqīnan (hausla baaqī nahīñ hai)
svāñg bhartā huuñ
zamane kho gae aainda o rafta ke mele mein
zaminen gum huin paikar-e-has-o-nist mein aisi
koi naqsha makanon aur makinon tak
pahunchne ka zariya bhi nahin banta hai
taswiren ab apni bastiyon mein
dam-ba-KHud sahmi hui nadim paDi hain
main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
to kuchh aansu ke qatre jhilmilate hain
fasurda gum-shuda chehre
ghubar-e-na-shanasai mein
kuchh dhundle hayyulon ki tarah
fariyaad karte hain
waraq albam ke guzre mausamon
maghmum aankhon train ki khiDki se
hilte hathon pichhe chhuTti aabaadiyon
ko yaad karte hain
main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun
kisi dasht-e-faramoshi mein
sukhe peD par
ek aaKHiri patte ki surat
sare lamhe mujh ko tanha chhoD aate hain
main is tanhai ke jangal mein
larzan dil-pareshan raqs karta hun
main KHud ko bhul jaane ka
yaqinan (hausla baqi nahin hai)
swang bharta hun
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.