main apne aap se kab tak tumhaara nam puchhunga
parindoñ se sabaq sīkhā shajar se guftugū kī hai
savād-e-jāñ kī ḳhāmoshī meñ Thahre
abr-e-tanhā.ī kī uudī zard chādar par
shuā-e-yād ke hāthoñ likhī har be-navā lamhe kī puurī dāstāñ
maiñ ne paḌhī hai
nashāt-añgez rātoñ aur ḳhvāboñ ke shafaq-ālūd chehre ko
jhulaste din kī ḳhīra-kun fazā meñ
ek umr-e-rā.egāñ ke aa.ine meñ mahv ho kar kab nahīñ dekhā
baras guzre ruteñ biitī vatan se be-vatan hone kī saarī bebasī jhelī
maiñ barfānī ilāqoñ marġh-zāroñ vādiyoñ aur regzāroñ se
nishān-e-kārvāñ chuntā sadā-e-raftagāñ suntā huā guzrā
kahāñ mumkin thā lekin maiñ ne jo dekhā sunā vo yaad rakkhā ajab ye hai
nahīñ gar hāfize meñ kuchh to vo ik naam hai terā
ḳhabar kab thī ki bahtī umr kī sarkash ravānī meñ
mujhe jo yaad rahnā chāhiye thā
maiñ vahī ik naam bhūlūñgā
parindoñ aur peḌoñ se jahāñ bhī guftugū hogī
tumhārā zikr aate hī dhundalke
zehn meñ ik mauja-e-tārīk ban kar phailte jā.eñge
aur ye hāfiza maflūj āñkhoñ se mujhe
ghūregā chillā.egā
ḳhauf-e-ḳhud-farāmoshī se tum Darte the lekin ab
ma.āl-e-ḳhud-farāmoshī se tum kaise nibhāoge
ġhubār andar ġhubār añgḌā.iyāñ lete hue
raste meñ jo kuchh kho chuke ho us ko kaise DhūñD pāoge
ye lāzim to nahīñ hai, ek an-būjhī pahelī jab achānak yaad aa jaa.e
use har haal meñ har baar būjhoge
tum apne aap se kab tak kisī kā naam pūchhoge
parindon se sabaq sikha shajar se guftugu ki hai
sawad-e-jaan ki KHamoshi mein Thahre
abr-e-tanhai ki udi zard chadar par
shua-e-yaad ke hathon likhi har be-nawa lamhe ki puri dastan
main ne paDhi hai
nashat-angez raaton aur KHwabon ke shafaq-alud chehre ko
jhulaste din ki KHira-kun faza mein
ek umr-e-raegan ke aaine mein mahw ho kar kab nahin dekha
baras guzre ruten biti watan se be-watan hone ki sari bebasi jheli
main barfani ilaqon margh-zaron wadiyon aur regzaron se
nishan-e-karwan chunta sada-e-raftagan sunta hua guzra
kahan mumkin tha lekin main ne jo dekha suna wo yaad rakkha ajab ye hai
nahin gar hafize mein kuchh to wo ek nam hai tera
KHabar kab thi ki bahti umr ki sarkash rawani mein
mujhe jo yaad rahna chahiye tha
main wahi ek nam bhulunga
parindon aur peDon se jahan bhi guftugu hogi
tumhaara zikr aate hi dhundalke
zehn mein ek mauja-e-tarik ban kar phailte jaenge
aur ye hafiza mafluj aankhon se mujhe
ghurega chillaega
KHauf-e-KHud-faramoshi se tum Darte the lekin ab
maal-e-KHud-faramoshi se tum kaise nibhaoge
ghubar andar ghubar angDaiyan lete hue
raste mein jo kuchh kho chuke ho us ko kaise DhunD paoge
ye lazim to nahin hai, ek an-bujhi paheli jab achanak yaad aa jae
use har haal mein har bar bujhoge
tum apne aap se kab tak kisi ka nam puchhoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.