main apne hisse ka ro chuka hun
tumheñ pata hai
tumhāre pīchhe tamām shab jāgnā mirā mashġhala rahā hai
ye merī āñkhoñ ke gird gahre siyāh halqe
ye zard rangat udaas āñkheñ
badan ko dekho nahīf jaise ḳhizāñ-rasīda shajar ho yā phir marīz koī
ye sab tumhārī hī
ḳhair chhoḌo
batāo kaisī guzar rahī hai
mujhe to yaksar bhulā chukī hogī hai nā aisā hī
kuchh to bolo
tumhārī āñkhoñ ko kyā huā hai udaas kyoñ ho
are ye aañsū
tum aisī bilkul nahīñ thī
hañstī huī vo pāgal sī shoḳh laḌkī kahāñ ga.ī hai
badal ga.ī ho
batāo kyā koī sāniha rūnumā huā hai ki jis ne tum ko badal diyā hai
vo hañstā chehra nahīñ rahā hai
hasīn laḌkī
tum apne hisse kā ġham mujhe do maiñ apne hisse kā ro chukā huuñ
tumhein pata hai
tumhaare pichhe tamam shab jagna mera mashghala raha hai
ye meri aankhon ke gird gahre siyah halqe
ye zard rangat udas aankhen
badan ko dekho nahif jaise KHizan-rasida shajar ho ya phir mariz koi
ye sab tumhaari hi
KHair chhoDo
batao kaisi guzar rahi hai
mujhe to yaksar bhula chuki hogi hai na aisa hi
kuchh to bolo
tumhaari aankhon ko kya hua hai udas kyon ho
are ye aansu
tum aisi bilkul nahin thi
hansti hui wo pagal si shoKH laDki kahan gai hai
badal gai ho
batao kya koi saniha runuma hua hai ki jis ne tum ko badal diya hai
wo hansta chehra nahin raha hai
hasin laDki
tum apne hisse ka gham mujhe do main apne hisse ka ro chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.