main aur baadal
shaam kā bādal na.e na.e andāz dikhāyā kartā hai
kabhī vo nanhā bachcha ban kar mere sāmne aatā hai
kabhī vo apnā ḳhuun bahā kar mere jī ko Darātā hai
kabhī kisī hañsmukh aurat kī tarah mujhe bahlātā hai
phir āñkhoñ se ishāra kar ke kamre meñ chhup jaatā hai
isī tarah vo na.e na.e andāz dikhāyā kartā hai
jab koī us ko ghuur ke dekhe naaz dikhāyā kartā hai
sham ka baadal nae nae andaz dikhaya karta hai
kabhi wo nanha bachcha ban kar mere samne aata hai
kabhi wo apna KHun baha kar mere ji ko Daraata hai
kabhi kisi hansmukh aurat ki tarah mujhe bahlata hai
phir aankhon se ishaara kar ke kamre mein chhup jata hai
isi tarah wo nae nae andaz dikhaya karta hai
jab koi us ko ghur ke dekhe naz dikhaya karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.